Saturday, March 8, 2008

AAJ KA DARD

@@@@@@@AAJ KA DARD@@@@@@@


Aaj ki tej raftaar ki bhagti duniya me kishi ke pass bhi itna

samay nahi hai ki wo apne aash-padosh ke baare me soche yaa

rishtedaro se mile jule.har inshan apni hi duniya banana cahta


hai.eshe me agar kahi koi ghatna ya dhurghatna ho jaaye ,to we

mushibat samajhne lagte hai.we ya to phone par hi santwana de

dete hai ,ya kuch minute ya kuch pal ke liya waha chale jaate

hai.aghar ghatna kahi door ho to 1-2 din ke liye unke ghar chale

jaate hai,aur santwana de kar juldi se juldi aane ki koshish karte

hai,caahe wo unka koi khaash hi kyu na ho.aajkal to wo

santwana dene bhi kewal ishi liye jaate hai ,taaki saamaj unpar

ungli naa uthane lage.dil se aaj dushre kaa dard koi samajhne ki

koshish hi nahi karta or naa hi karna cahta hai.aaj log sochte hai

ki unke santwana de dene bhar se hi dushro kaa saara dukh

darad door ho jayega .lekin wo ye nahi jante ki dard ek aishi

cheej hai jiska ahsash kewal ushi ko hota hai jo kishi dukh yaa

dard se juzar raha hota hai.kiyunki tabhi to kai inshan bade-

bade dukh jhelne ke baad bhi samay beet jane par sub kuch

bhool jate hai.unhe kishi ki bhawanao kaa koi ahsash nahi

rahta.agar kishi ko gahri choot lagi ho to hum kah dete hai ki

ushe gahri choot aai hai par kya ush choot kaa dard hum

mahsush kar sakte hai ?nahi na ,ushe to kewal wahi jaan sakta

hao jo pal-pal ush dard se jugar raha ho.wahi samajh sakta hai

ush dard ko.



written by - kamla bhandari

MAA

***************MAA*************************


mother is our - vitality

MOTHER-godess

M - Martyr

O - Odoriferous

T - Thane

H - House Wife

E - Exepect

R - Rectitude

Maa shabd kaano me mishi ghol deta hai.ishe sunte hi kishi suraksha kawach ka ihsash hota hai.isha lagta hai ki ye shabd humare saare dukh dard le lega.

JARA SOCHIYE,

Jab ye sabd hi itna pyara hai to maa ki to baat hi nirali hai naa.maa wo jo saare dukh-

dard lekar bhi humesha muskarati hai.khud dhuup sahkar bhi hume chaaw deti

hai,bhuki rahkar bhi hume bharpet khilati hai,apne armano ka gala ghotkar

bhi,pariwar ki har jarurat ko poora karti hai.aapni icchaye markar , pariwar ki har

iccha kya khayal rakhti hai.saare dukh sahkar bhi pariwar ko sukh deti hai.thand

sahkar bhi pariwar ko apne pyar ki garmhat deti hai.kabhi - kabhi to apni laaj bechkar

bhi pariwar ki laaj bachaye rakhti hai.

PHIR BHI KYU ANTH ME WAH AKELI HI RAH JAATI HAI?????

SO DEAR ,

Maa jo humari janam daata hai, jiske wajud se humara wajud hai. jiske kaaran hi aaj

hum summaan ka jivan ji rahe hai .jarurat hai aaj ushe bhi summaan dene ki.kyuki

aaj ki peeedhi ushe wo summaan nahi de rahi jo ushe milna caahye tha. jispar ushka

poora hak hai.aaj ki peedhi MOTHER-DAY to yaad rakhti hai par mother-day ke siwa

ushe koi day yaad nahi rahta.

YE BHI yaad nahi rahta hai jish janamdata ne hume apna har din ,har ghanta,har

minute, har second diya hai uske liye kewal ek din????????????????

Ushne apna poora jivan hume de diya phir bhi hum sikayat karte rahte hai ki ye nahi

kiya wo nahi kiya to kya ek din me hum wo sab kar payenge jo hume waakai uske liye

karna chaahiye?

AUR KITNE ESHE LOG HAI JO WAKAYI MOTHER'S-DAY ME MAA KA POORA

KHAYAL RAKHTE HAI?

KYA kewal ek card de dene se ya maa ko kuch gift de dene se hi humari duity khatam

ho jaati hai?hum samajte hai haa.PAR agar maa humare saath bhi isha hi kare to

hume kaisha lagega?

AAJ bhi kai eshe ghar mil jayenge jahan maa kishi acche post par hai,wo koshish to

bahut karti hai ghar ki jimmedariyo ko poora karne mai,par office ki bhi itni

jimmedari hai ki wo bechari bhi kya kare?wo itmi kadi mahnat kar rahi hi , kya apne

liye?

NAHI NA ,sirf apne parivar ke liye. uspar agar ghar me kuch ho jaye ,ya bacche bigad

jaye to poora dosh uspar hi lagta hai.har koi kewal or kewal "maa" par hi ungli uthate

hai,ki kaishi maa hai jo apne baccho kya khayal nahi rakh sakti,ya apne ghar ka khyal

nahi rakh sakti.or ush par bacche wa parivar ke log bhi maa ko hi dosh dete hai.

ME PUCHTI HU KYU? kyu, maa ko hi dosh diya jaata hai. kya pita ya ghar ke or logo

ki koi jimmedari nahi hoti ghat ke prati??????????????

Maa chaye kitna bhi thaki kyu na ho ghar aakar ushe hi khana banana hota hai ,ushe

hi kapre dhone padte hai.

SUNDAY KE DIN TO USKI HAALAT KISI NAUKRANI SE KAM NAHI LAGTI.

Ek kaam ,phir dushra,phir tishra or ishi tarha uska saara din kab kaam me nikal jaata

hai ushe pata hi nahi chalta.SUNDAY hota hai aaram ke liye par "maa" ke liye to wo

din aaram -haram ka din hota hai.or phir bhi hum kahte hai ushne kiya hi kya?jab

maa office se thak kar bhi ghar ke kaam kar sakti hai to ghar ke baaki log kyu

nahi????????????

Kya wo inshan nahi hai,ya phir hum ushe machine samajhte hai?ki wo kuch bhi kar

le thakegi nahi.

DEAR ,eisha nahi hi wo bhi to humari hi tarha ek insaan hai ,ushe bhi thakan lagti

hai,ushe bhi aaram ki jarurat hai,ushe bhi pyar ki jararut hai.

BILKUL HUMARI HI TARHA.

Ek din tum bhi maa ki tarha kam karke dekho tab pata chalega tumhe."MAA" chahe

office me ya phir ghar me rahe wo apni zimmedari acchi tarhase samajhti hai,or ushe

poora har kimat par karti hai.ushki poori zindagi ishi koshish me hi to beet jati hai

ushka poora parivar khush rahe,unki saari jarurate poori ho.

SO DEAR LOVE YOUR "MAA" BY HEART

1.)maa ki har baat suno,ho sakta hai ushme tumhara hi faiyada ho.tum chahe kitne

bhi bade ho jao,unke liye to choote hi rahoge.

2.)apni problem kaa hal yaha-waha dhundne ki bajay maa se pucho.

3.)apne sabhi friends ko maa se introduse karao.

4.)maa se apne dress ke baare me pucho ki tumpar kya accha lagega or kya

nahi,kiyunki kabhi kabhi friends majak me aapse eishi dress kharidwa dete hai ki log

aapka majak bhi bana sakte hai or friend bhi aapke paache aapka majak udate hai.

5.)agar tumhe koi accha lage to maa ko turant bata do,ish baat ko unse mat

chupao,kiyonki bahar wale batayenge to unhe bura lagega or dushre log unhe galat

bhi bata sakte hai .

6.)agar koi problem hai to maa ko batao ,taaki wo ushe solve kar sake or aapko unse

darne ki jararut bhi na pade.

7.)doshto ki ulti-sidhi salha lene ki bajay maa se pucho ,wo tumhe kabhi galat salha

nahi dengi.

SO DIL KHOLKAR POORA JOR LAGAKAR BOLO-----------I LOVE U

MAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAA

I LOVE U SO SO N SO MUCHHHHHHHHHHHHH

TAAKI ,maa ko ye naa kahna pade ki ,

intajar ek saam ka nahi ,

umar tamam ka hai,

milta nahi chor bhi

lagta hai intajar hai abhi aur bhi.


written by - kamla bhandari

MEAN OF FRIENDSHIP

friends means................


”F" is for Fun....That friends share when they are together.


"R" is for Reliability....A true friend is someone that you can
always rely on.


"I" is for Interest....Someone who is genuinely interested in you, your fears, joys, and life.


"E" is for Energy....They pick you up when you are down, and give you the energy to go on and believe in yourself.


"N" is for Nothing....Nothing is ever too much, no matter what time it is, night or day.


"D" is for Distance....Although the miles may separate you, a true friend is never far away.


"S" is for Secrets....Your feelings and personal/private thoughts that you can only share with a friend.


"H" is for Happiness....The way I feel when we are together.


"I" is for Inseparable....Through good times and bad, tears and laughter. A friend will always be there for you.


"P" is for Perfect...

Friday, March 7, 2008

"MAI"

*******************MAI ************


mei caahu khule aashman ko chuna

taaro sang ghumna,chand sang khelna


suraj ki kuch roshni mai caahu

jo kare meri kishmat or tan- man ko roshan

mai caahu haryali ke beech,

ek ghar ho sapno kaa

ho wo khushiyo kaa ghar

jishe dukh kabhi chune naa paaye

hanshi -thake jaha junge ,

sangeet ke sabhi sawar lahraye

ek ghar ho esha ,

bilkul mere sapno ke jaisha

sabhi eash ho saare maje ho

khushiyo kaa sanshar waha ho

mai caahu phulo ko,kaliyo ko,titliyo ko,

khil-khilate cahro ko aur

sirf sucche inshano ko

bas-bas itna hi me caahu

aur caahu sucche bhagwan ko

jishne ish chahat ko

caahne ke liye mujhe caaha

written by - kamla bhandari

ASHONTOSH

ASHONTOSH
bachpan me ja bacche the


to jawani ka khayal aata

jab jawani me jawan the

to sochte bhudapa kya hai

aaj guzar rahe hai bhudape ke din

aur soch rahe hai-

wo bachpan kitna accha tha

wo pyare pyare din

wo bholi mashum baate

aur un sabke beech

wo pyara saccha bachpan-

wo jawani kitni anmol thi

har pal masti kapanchiyo si aajadi

dil me bhara tha josh

kitni khushnuma the jawani

kuch kar gujarne ki cha thi-

bhudapa to niras hai

bemaja paradhin bebash such hai

insaan khush nahi rah paata vartman se

sochta hi rahta hai

ye hota to accha hota

wo hota to accha hota.

REMEMBER

Remember; spend some time with your loved ones, because they are not going to be around forever.```.;
Remember, say a kind word to some one who looks up to you in awe, because that little person will soon grow up and leave your side.```.;
Remember, to give a warm hug to the one next to you, because that is the only treasure you can give with your heart and it doesn't cost a cent.```.;
Remember, to say, "I love you" to your partner and your loved ones, but most of all mean it. A kiss and an embrace will mend hurt when it comes from deep inside of you.```.;
Remember to hold hands and cherish the moment for somebody that person will not be there again.```.;
Give time to love, give time to speak! And give time to share the precious thoughts in your mind.```.;
AND ALWAYS REMEMBER:
Life is not measured by the number of breaths we take, but by the moments that take our breath

Wednesday, March 5, 2008

SUCH

Jameen fath sakti hai

Aashman toot sakta hai

himalaiya khishak sakta hai

nadiya palat salti hai

Magar maraa hua inshan kabhi zinda nahi ho sakta or na hi beeta hua samay lot sakta hai.Aghar

esha hota to duniya aaj pagal ho jaati or sabhi log atiyachari or paapi ho jate, magar shukr upar

wale ka.